॥ Doha ॥
Vishnu suniye vinay,
sevak ki chitlay।
Karat kuchh varnan karun,
dije gyan batay॥
॥ Chaupai ॥
Namo Vishnu Bhagwan Kharari।
kasht nashavan akhil bihari॥
Prabal jagat mein shakti tumhari।
tribhuvan phail rahi ujiyari॥
Sundar roop manohar surat।
saral swabhav mohini moorat॥
Tan par pitambar ati sohat।
baijanti mala man mohat॥
Shankh chakra kar gada biraje।
dekhat daitya asur dal bhaje॥
Satya dharma mad lobh na gaje।
kaam krodh mad lobh na chhaje॥
Sant bhakt sajjan manranjan।
danuj asur dushtan dal ganjan॥
Sukh upjay kasht sab bhanjan।
dosh mitay karat jan sajjan॥
Paap kaat bhav sindhu utaran।
kasht nashkar bhakt ubaran॥
Karat anek roop prabhu dharan।
keval aap bhakti ke karan॥
Dharani dhenu ban tumahin pukara।
tab tum roop Ram ka dhara॥
Bhar utar asur dal mara।
Ravan aadik ko sanhara॥
Aap Varah roop banaya।
Hiranyaksh ko maar giraya॥
Dhar Matsya tan sindhu banaya।
chaudah ratnan ko nikalaya॥
Ami lakh asuran dwandva machaya।
roop mohini aap dikhaya॥
Devan ko amrit paan karaya।
asuran ko chhabi se bahlaya॥
Koorm roop dhar sindhu majhaya।
Mandrachal giri turat uthaya॥
Shankar ka tum fand chhudaya।
Bhasmasur ko roop dikhaya॥
Vedan ko jab asur dubaya।
kar prabandh unhen dhundhwaya॥
Mohit bankar khalahi nachaya।
usahi kar se bhasm karaya॥
Asur Jalandhar ati baldai।
Shankar se un keenh ladai॥
Haar paar Shiv sakal banai।
keen Sati se chhal khal jai॥
Sumiran keen tumhen Shivrani।
batlai sab vipat kahani॥
Tab tum bane munishwar gyani।
Vrinda ki sab surati bhulani॥
Dekhat teen danuj shaitani।
Vrinda aay tumhen lapatani॥
Ho sparsh dharma kshati mani।
hana asur ur Shiv shaitani॥
Tumne Dhruv Prahlad ubare।
Hiranyakashyap aadik khal mare॥
Ganika aur Ajamil tare।
bahut bhakt bhav sindhu utare॥
Harahu sakal santap hamare।
kripa karahu Hari sirjanhare॥
Dekhahun mein nit darash tumhare।
deen bandhu bhaktan hitkare॥
Chahat aapka sevak darshan।
karahu daya apni Madhusudan॥
Janun nahi yogya jap pujan।
hoy yagya stuti anumodan॥
Sheeldaya santosh sulakshan।
vidit nahi vratbodh vilakshan॥
Karahun aapka kis vidhi pujan।
kumati vilok hot dukh bheeshan॥
Karahun pranam kaun vidhi sumiran।
kaun bhanti mein karahu samarpan॥
Sur muni karat sada sivkai।
harshit rahat param gati pai॥
Deen dukhin par sada sahai।
nij jan jaan lev apnai॥
Paap dosh santap nashao।
bhav bandhan se mukt karao॥
Sut sampati de sukh upjao।
nij charanan ka das banao॥
Nigam sada ye vinay sunavai।
padhe sune so jan sukh pavai॥
The Vishnu Chalisa is a devotional hymn dedicated to Lord Vishnu, the preserver of the universe, glorifying his avatars including Matsya, Kurma, and Varaha. Reciting it on Thursdays or Ekadashi is considered especially auspicious, bringing peace and prosperity.






