ToranToran

Shiv Chalisa

Shiv Chalisa

॥ Doha ॥

Jai Ganesh Girija suvan,
mangal mool sujan।
Kahat Ayodhyadas tum,
dehu abhay vardan॥

॥ Chaupai ॥

Jai Girijapati deendayala।
sada karat santan pratipala॥
Bhal chandrama sohat neeke।
kanan kundal nagphani ke॥

Ang gaur shir gang bahaye।
mundmal tan chhar lagaye॥
Vastra khal baghambar sohe।
chhavi ko dekh naag muni mohe॥

Maina matu ki have dulari।
vaam ang sohat chhavi nyari॥
Kar trishul sohat chhavi bhari।
karat sada shatrun kshaykari॥

Nandi Ganesh sohain tahan kaise।
sagar madhya kamal hain jaise॥
Kartik Shyam aur Ganrau।
ya chhavi ko kahi jaat na kau॥

Devan jabahin jay pukara।
tabahin dukh prabhu aap nivara॥
Kiya upadrav Tarak bhari।
devan sab mili tumahin juhari॥

Turat shadanan aap pathayau।
lav nimesh mahan mari girayau॥
Aap Jalandhar asur sanhara।
suyash tumhar vidit sansara॥

Tripurasur san yuddh machai।
sabahin kripa kar leen bachai॥
Kiya tapahin Bhagirath bhari।
purab pratigya tasu Purari॥

Danin mahan tum sam koi nahi।
sevak astuti karat sadahi॥
Ved naam mahima tav gai।
akath anadi bhed nahi pai॥

Pragati udadhi manthan mein jwala।
jare surasur bhaye vihala॥
Keenhi daya tahan kari sahai।
Neelkanth tab naam kahai॥

Pujan Ramchandra jab keenha।
jeet ke lank Vibhishan deenha॥
Sahas kamal mein ho rahe dhari।
keenh pariksha tabahin Purari॥

Ek kamal prabhu rakhe joi।
kamal nayan pujan chahan soi॥
Kathin bhakti dekhi prabhu Shankar।
bhaye prasann diye ichchhit var॥

Jai jai jai anant avinasi।
karat kripa sabki ghat vasi॥
Dusht sakal nit mohi satave।
bhramat rahaun mohi chain na aave॥

Trahi trahi main nath pukaro।
yahi avsar mohi aan ubaro॥
Le trishul shatrun ko maro।
sankat se mohi aan ubaro॥

Matu pita bhrata sab koi।
sankat mein puchhat nahi koi॥
Swami ek hai aas tumhari।
aay harahu mam sankat bhari॥

Dhan nirdhan ko det sadahi।
jo koi janche vo phal pahi॥
Astuti kehi vidhi karaun tihari।
kshamahu nath ab chook hamari॥

Shankar ho sankat ke nashan।
mangal karan vighna vinashan॥
Yogi yati muni dhyan lagavain।
Narad Sharad sheesh navaven॥

Namo namo jai namo Shivaye।
sur Brahmadik paar na pae॥
Jo yah path kare man lai।
ta par hot hain Shambhu sahai॥

Riniya jo koi ho adhikari।
path kare so pavan hari॥
Putraheen ichchha kar koi।
nishchay Shiv prasad tehi hoi॥

Pandit trayodashi ko lave।
dhyan poorvak hom karave॥
Trayodashi vrat kare hamesha।
tan nahi take rahe kalesha॥

Dhoop deep naivedya chadhave।
Shankar sammukh path sunave॥
Janam janam ke paap nasave।
ant vas Shivpur mein pave॥

Kahai Ayodhya aas tumhari | jani sakal dukh harahu hamari॥

॥ Doha ॥

Nitya nem kar pratah hi,
path karaun Chalis।
Tum meri manokamna,
purna karo Jagdish॥

Magsar chhathi hemant ritu,
samvat chaunsath jaan।
Astuti Chalisa Shivahi,
purna keen kalyan॥

 

The Shiv Chalisa is an extremely popular devotional hymn dedicated to Lord Shiva. Reciting it on Mondays or on Maha Shivratri is considered especially auspicious, believed to remove hardships and fulfill sincere wishes.

Frequently Asked Questions

When is the best time to recite the Shiv Chalisa?

What are the benefits of reciting the Shiv Chalisa?

Which stories does the Shiv Chalisa describe?

How many verses does the Shiv Chalisa have?