॥ Doha ॥
Jai-jai mata Sheetala,
tumahin dhar jo dhyan।
Hoy vimal sheetal hriday,
vikasai buddhi balgyan॥
Ghat-ghat vasi Sheetala,
sheetal prabha tumhar।
Sheetal chhahyan mein jhulai,
maiya palna daar॥
॥ Chaupai ॥
Jai-jai-jai Sheetala Bhavani।
jai jag janani sakal gunkhani॥
Grih-grih shakti tumhari rajit।
puran sharadchandra sam sajit॥
Visphotak se jalat sharira।
sheetal karat harat sab peera॥
Matu Sheetala tav shubhnama।
sabke gaadhe aavahin kama॥
Shokhari Shankari Bhavani।
baal-pranrakshi sukh dani॥
Shuchi marjani kalash kar raje।
mastak tej surya sam raje॥
Chaunsath yogin sang mein gaven।
veena taal mridang bajaven॥
Nritya nath Bhairo dikharaven।
sahaj shesh shiv paar na paven॥
Dhanya-dhanya dhatri Maharani।
surnar muni tab suyash bakhani॥
Jwala roop maha balkari।
daitya ek visphotak bhari॥
Ghar-ghar pravishat koi na rakshat।
rog roop dhari balak bhakshat॥
Hahakar machyo jag bhari।
sakyo na jab sankat taari॥
Tab maiya dhari adbhut roopa।
karmein liye marjani soopa॥
Visphotakahin pakadi kar leenho।
musal prahar bahuvidhi keenho॥
Bahut prakaar vah vinati keenha।
maiya nahi bhal main kachhu cheenha॥
Ab nahi matu kahu grih jaihaun।
jahan apavitra sakal dukh harihain॥
Bhabhakat tan sheetal hai jahahain।
visphotak bhay ghor nasahahain॥
Shri Sheetalahin bhaje kalyana।
vachan satya bhashe Bhagwana॥
Visphotak bhay jihi grih bhai।
bhajai devi kahen yahi upai॥
Kalash Sheetala ka sajvavai।
dwij se vidhivat path karavai॥
Tumhi Sheetala jag ki mata।
tumhi pita jag ki sukhdata॥
Tumhi jagdhatri sukhsevi।
namo namami Sheetale devi॥
Namo sukhkarani dukhharani।
namo-namo jagtarani tarani॥
Namo namo trailokya vandini।
dukhdaridradik nikandani॥
Shri Sheetala Shedhla Mahla।
Runlihanani matu Mandla॥
Ho tum digambar tanudhari।
shobhit panchnaam asvari॥
Rasabh khar Baishakh sunandan।
gardabh Durvakand nikandan॥
Sumirat sang Sheetala mai।
jahi sakal dukh door parai॥
Galka galgandadi ju hoi।
taakar mantra na aushadhi koi॥
Ek matu ji ka aaradhan।
aur nahi koi hai sadhan॥
Nishchay matu sharan jo aave।
nirbhay man ichchhit phal pave॥
Kodhi nirmal kaya dharai,
andha।
drig-nij drishti nihare॥
Vandhya naari putra ko pave।
janam daridra dhani hoi jaave॥
Matu Sheetala ke gun gavat।
lakha mook ko chhand banavat॥
Yaame koi kare jani shanka।
jag mein maiya ka hi danka॥
Bhanat Ramsundar prabhudasa।
tat Prayag se poorab pasa॥
Puri Tiwari mor nivasa।
Kakra Ganga tat Durvasa॥
Ab vilamb main tohi pukarat।
matu kripa ko baat niharat॥
Pada kshati tav aas lagai।
raksha karahu Sheetala mai॥
॥ Doha ॥
Ghat-ghat vasi Sheetala,
sheetal prabha tumhar।
Sheetal chhahyan mein jhulai,
maiya palna daar॥
The Sheetala Chalisa is a devotional hymn dedicated to Maa Sheetala, who protects children from ailments with her cooling grace. Reciting it on Sheetala Satam is considered especially auspicious for the health and well-being of children.






