॥ Doha ॥
Bandaun Santoshi charan,
riddhi-siddhi dataar।
Dhyaan dharat hi hot nar,
dukh saagar se paar॥
Bhaktan ko santosh de,
Santoshi tav naam।
Kripa karahu Jagadamb,
ab aaya tere dhaam॥
॥ Chaupai ॥
Jai Santoshi maat anoopam।
shaanti daayini roop manoram॥
Sundar varan chaturbhuj roopa।
vesh manohar lalit anoopa॥
Shwetaambar roop manhaari।
maan tumhaari chhavi jag se nyaari॥
Divya swaroopa aayat lochan।
darshan se ho sankat mochan॥
Jai Ganesh ki suta Bhavani।
riddhi-siddhi ki putri gyaani॥
Agam agochar tumhari maaya।
sab par karo kripa ki chhaaya॥
Naam anek tumhaare mata।
akhil vishwa hai tumako dhyaata॥
Tumne roop anekon dhaare।
ko kahi sake charitra tumhaare॥
Dhaam anek kahaan tak kahiye।
sumiran tab karake sukh lahiye॥
Vindhyaachal mein Vindhyavaasini।
Koteshwar Saraswati suhaasini॥
Kalkatte mein tu hi Kaali।
dusht naashini mahaakaraali॥
Sambalpur Bahuchara kahaati।
bhaktajanon ka dukh mitaati॥
Jwaala ji mein Jwaala Devi।
poojat nitya bhakt jan sevi॥
Nagar Bambai ki maharaani।
Maha Lakshmi tum kalyaani॥
Madura mein Meenakshi tum ho।
sukh dukh sabaki saakshi tum ho॥
Raajnagar mein tum Jagadambe।
bani Bhadrakaali tum Ambe॥
Paavaagadh mein Durga mata।
akhil vishwa tera yash gaata॥
Kaashi puraadheeshwari mata।
Annapurna naam suhaata॥
Sarvaanand karo kalyaani।
tumhin Sharada amrit vaani॥
Tumhari mahima jal mein thal mein।
dukh daaridra sab meto pal mein॥
Jete rishi aur muneesha।
Naarad dev aur deveesha॥
Is jagati ke nar aur naari।
dhyaan dharat hain maat tumhaari॥
Jaapar kripa tumhaari hoti।
vah paata bhakti ka moti॥
Dukh daaridra sankat mit jaata।
dhyaan tumhaara jo jan dhyaata॥
Jo jan tumhari mahima gaave।
dhyaan tumhaara kar sukh paave॥
Jo man raakhe shuddh bhaavana।
taaki pooran karo kaamana॥
Kumati nivaari sumati ki daatri।
jayati jayati mata jagadhaatri॥
Shukravaar ka divas suhaavan।
jo vrat kare tumhaara paavan॥
Gud chhole ka bhog lagaave।
katha tumhaari sune sunaave॥
Vidhivat pooja kare tumhaari।
phir prasaad paave shubhkaari॥
Shakti-saamarath ho jo dhanko।
daan-dakshina de vipran ko॥
Ve jagati ke nar au naari।
manvaanchhit phal paaven bhaari॥
Jo jan sharan tumhaari jaave।
so nishchay bhav se tar jaave॥
Tumharo dhyaan kumaari dhyaave।
nishchay manvaanchhit var paavai॥
Sadhava pooja kare tumhaari।
amar suhaagin ho vah naari॥
Vidhava dhar ke dhyaan tumhaara।
bhavsaagar se utare paara॥
Jayati jayati jai sankat harani।
vighn vinaashan mangal karani॥
Ham par sankat hai ati bhaari।
vegi khabar lo maat hamaari॥
Nishidin dhyaan tumhaaro dhyaata।
deh bhakti var ham ko mata॥
Yah Chalisa jo nit gaave।
so bhavsaagar se tar jaave॥
॥ Doha ॥
Santoshi maan ke sada,
bandahun pag nish vaas।
Pooran manorath ho sakal,
maat harau bhav traas॥
Santoshi Mata Chalisa is a devotional hymn dedicated to Santoshi Mata,
who is considered the daughter of Lord Ganesha and the presiding goddess of contentment. Reciting Santoshi Mata Chalisa on Fridays along with the Solah Shukrawar Vrat is considered especially beneficial॥






