॥ Doha ॥
Shri Guru pad naman kari,
gira Ganesh manay।
Kathun Ramdev vimal yash,
sune paap vinashay॥
Dwarkesh ne aay kar,
liya manuj avtaar।
Ajmal geh badhavana,
jag mein jai jaikar॥
॥ Chaupai ॥
Jai jai Ramdev sur raya।
Ajmal putra anokhi maya॥
Vishnu roop sur nar ke swami।
param pratapi antaryami॥
Le avtaar avani par aaye।
Tanwar vansh avtans kahaye॥
Sant janon ke karaj saare।
danav daitya dusht sanhare॥
Parachya pratham pita ko deenha।
doodh parinda maanhi keenha॥
Kumkum pad poli darshaye।
jyonhi prabhu palne pragtaye॥
Parcha dooja janani paya।
doodh ufanta chara uthaya॥
Parcha teeja purjan paya।
chithdon ka ghoda hi saya॥
Parachya chautha Bherav mara।
bhakt janon ka kasht nivara॥
Pancham parachya Ratna paya।
Pungal ja prabhu fand chhudaya॥
Parachya chhatha Vijaysingh paya।
jala nagar sharanagat aaya॥
Parachya saptam Sugna paya।
muva putra hansata bhag aaya॥
Parachya ashtam Bauhit paya।
ja pardesh dravya bahu laaya॥
Bhanwar doobati naav ubari।
pragat ter pahunche avtari॥
Navman parachya Veeram paya।
baniyan aa jab haal sunaya॥
Dasvan parachya pa binjara।
mishri bani namak sab khara॥
Parachya gyarah kirpa thari।
namak hua mishri phir sari॥
Parachya dwadash thokar mari।
Nikalang naadi sirji pyari॥
Parachya terahvan Peer Pari padharya।
layay katora karaj sara॥
Chaudahvan parachya Jabho paya।
nijasar jal khara karvaya॥
Parachya pandrah phir batlaya।
Ram Sarovar prabhu khudvaya॥
Parachya solah Harbu paya।
darsh paay atishay harshaya॥
Parachya satrah Harji paya।
doodh thana bakariya ke aaya॥
Sukhi naadi paani keenhon।
aatma gyan Harji ne deenhon॥
Parachya adharahvan Hakim paya।
soote ko dharati ludhkaya॥
Parachya unnisvan Dalji paya।
putra paay man mein harshaya॥
Parachya beesvan paya Sethani।
aaye prabhu sun gadgad vani॥
Turant seth sarjivan keenha।
bhakt ujagar abhay var deenha॥
Parachya ikkeesvan chor jo paya।
ho andha karani phal paya॥
Parachya baaeesvan Mirjo Cheehan।
saato tava bedh prabhu deenhan॥
Parachya teeisvan badshah paya।
fer bhakt ko nahi sataya॥
Parachya chaubeesvan Bakshi paya।
muva putra pal mein uth dhaya॥
Jab-jab jisne sumaran keenhan।
tab-tab aa tum darshan deenhan॥
Bhakt ter sun aatur dhate।
chadh leele par jaldi aate॥
Jo jan prabhu ki leela gaben।
manvanchhit karaj phal paven॥
Yah Chalisa sune sunave।
taake kasht sakal kat jave॥
Jai jai jai prabhu leela dhari।
teri mahima aparampari॥
Mein moorakh kya gun tab gaun।
kahan buddhi Sharad si laun॥
Nahi buddhi bal ghat lab lesha।
mati anusar rachi Chalisa॥
Das sabhi sharan mein teri।
rakhiyo prabhu lajja meri॥
Ramdev Chalisa is a devotional hymn dedicated to Baba Ramdevji,
who is considered an incarnation of Lord Vishnu and is widely worshipped in Rajasthan. Reciting Ramdev Chalisa on Bhadarva Sud Bij (Ramdev Jayanti) is considered especially auspicious॥






