॥ Chaupai ॥
Shri Raghuvir bhakt hitkari।
suni lije prabhu araj hamari॥
Nishi din dhyan dharai jo koi।
ta sam bhakt aur nahi hoi॥
Dhyan dhare Shivji man mahi।
Brahma Indra paar nahi pahi॥
Jai jai jai Raghunath kripala।
sada karo santan pratipala॥
Doot tumhar veer Hanumana।
jasu prabhav tihun pur jana॥
Tab bhuj dand prachand kripala।
Ravan mari suran pratipala॥
Tum anath ke nath gosai।
deenan ke ho sada sahai॥
Brahmadik tav paar na pavain।
sada eesh tumharo yash gaven॥
Chariu ved Bharat hain sakhi।
tum bhaktan ki lajja rakhi॥
Gun gavat Sharad man mahi।
surpati tako paar na pahi॥
Naam tumhar let jo koi।
ta sam dhanya aur nahi hoi॥
Ram naam hai aparampara।
chariu vedan jahi pukara॥
Ganpati naam tumharo leenhau।
tinko pratham pujya tum keenhau॥
Shesh ratat nit naam tumhara।
mahi ko bhar sheesh par dhara॥
Phool saman rahat so bhara।
paav na kou tumharo para॥
Bharat naam tumharo ur dharo।
taso kabahu na ran mein haro॥
Naam Shatruhan hriday prakasha।
sumirat hot shatru kar nasha॥
Lashan tumhara aagyakari।
sada karat santan rakhwari॥
Tate ran jeete nahi koi।
yuddh jure yamahun kin hoi॥
Mahalakshmi dhar avatara।
sab vidhi karat paap ko chhara॥
Sita naam punita gayo।
Bhuvaneshwari prabhav dikhayo॥
Ghat son prakat bhai so aai।
jako dekhat chandra lajai॥
So tumare nit paanv palotat।
navon niddhi charanan mein lotat॥
Siddhi athara mangalkari।
so tum par jave balihari॥
Aurahu jo anek prabhutai।
so Sitapati tumahin banai॥
Ichchha te kotin sansara।
rachat na lagat pal ki vara॥
Jo tumhe charanan chit lave।
taki mukti avasi ho jave॥
Jai jai jai prabhu jyoti swaroopa।
nirgun Brahm akhand anoopa॥
Satya satya satya brat swami।
satya sanatan antaryami॥
Satya bhajan tumharo jo gave।
so nishchay charon phal pave॥
Satya shapath Gauripati keenhi।
tumne bhaktihin sab siddhi deenhi॥
Sunahu Ram tum tat hamare।
tumahin Bharat kul pujya pracharе॥
Tumahin dev kul dev hamare।
tum gurudev pran ke pyare॥
Jo kuchh ho so tum hi raja।
jai jai jai prabhu rakho laja॥
Ram aatma poshan hare।
jai jai jai Dashrath dulare॥
Gyan hriday do gyan swaroopa।
namo namo jai jagpati bhupa॥
Dhanya dhanya tum dhanya pratapa।
naam tumhar harat santapa॥
Satya shuddh devan mukh gaya।
baji dundubhi shankh bajaya॥
Satya satya tum satya sanatan।
tum hi ho hamare tan man dhan॥
Yaako path kare jo koi।
gyan prakat take ur hoi॥
Avagaman mite tihi kera।
satya vachan mane Shiv mera॥
Aur aas man mein jo hoi।
manvanchhit phal pave soi॥
Teenahun kaal dhyan jo lyavain।
tulsi dal aru phool chadhavain॥
Saag patra so bhog lagavain।
so nar sakal siddhata paven॥
Ant samay Raghubar pur jai।
jahan janma Hari bhakt kahai॥
Shri Haridas kahai aru gave।
so Baikunth dham ko jave॥
॥ Doha ॥
Saat divas jo nem kar,
path kare chit lay।
Haridas Hari kripa se,
avasi bhakti ko paay॥
Ram Chalisa jo padhe,
Ram charan chit lay।
Jo ichchha man mein kari,
sakal siddh ho jay॥
The Ram Chalisa is a devotional hymn dedicated to Lord Rama, glorifying his name, Hanuman's devoted service, and Sita's greatness. Reciting it on Ram Navami or Tuesdays is considered especially auspicious for peace and righteousness.






