॥ Chaupai ॥
Jayati jayati jai Lalite mata।
tab gun mahima hai vikhyata॥
Tu Sundari Tripureshwari devi।
sur nar muni tere pad sevi॥
Tu Kalyani kasht nivarini।
tu sukh dayini vipada harini॥
Moh vinashini daitya nashini।
bhakt bhavini jyoti prakashini॥
Aadi shakti Shri Vidya roopa।
chakra swamini deh anoopa॥
Hriday nivasini bhakt tarini।
naana kasht vipati dal harini॥
Dash vidya hai roop tumhara।
Shri Chandreshwari! Naimish pyara॥
Dhooma,
Bagla,
Bhairavi,
Tara।
Bhuvaneshwari Kamala vistara॥
Shodashi Chhinnamasta Matangi।
Lalite! Shakti tumhari sangi॥
Lalite tum ho jyotit bhala।
bhakt janon ka kaam sambhala॥
Bhaari sankat jab-jab aaye।
unse tumne bhakt bachaye॥
Jisne kripa tumhari paai।
uski sab vidhi se ban aai॥
Sankat door karo maan bhaari।
bhakt janon ko aas tumhari॥
Tripureshwari Shailaja Bhavani।
jai jai jai Shiv ki Maharani॥
Yog siddhi paven sab yogi।
bhogen bhog,
maha sukh bhogi॥
Kripa tumhari paake mata।
jeevan sukhmay hai ban jaata॥
Dukhiyon ko tumne apnaya।
mahamoodh jo sharan na aaya॥
Tumne jiski or nihara।
mili use sampatti,
sukh sara॥
Aadi shakti jai Tripur-pyari।
mahashakti jai jai,
bhayahari॥
Kul yogini Kundalini roopa।
leela Lalite karen anoopa॥
Maha-Maheshwari maha shakti de।
Tripur-Sundari sada bhakti de॥
Maha mahanande,
kalyani।
mookon ko deti ho vaani॥
Ichchha-gyan-kriya ka bhagi।
hota tab seva anuragi॥
Jo Lalite tera gun gave।
use na koi kasht satave॥
Sarva mangale jwala-malini।
tum ho sarva shakti sanchalini॥
Aaya maan jo sharan tumhari।
vipada hari usi ki saari॥
Namakarshini chittakarshini।
sarva-mohini sab sukh-varshini॥
Mahima tab sab jag vikhyata।
tum ho dayamayi jagmata॥
Sab saubhagya-dayini Lalita।
tum ho sukhda karuna kalita॥
Anand sukh sampatti deti ho।
kasht bhayanak har leti ho॥
Man se jo jan tumko dhyave।
vah turant manvanchhit pave॥
Lakshmi Durga tum ho Kali।
tumhi Sharada Chakra-Kapali॥
Muladhar nivasini jai jai।
Sahasrar gamini maan jai jai॥
Chhah chakron ko bhedne wali।
karati ho sabki rakhwali॥
Yogi bhogi krodhi kami।
sab hain sevak sab anugami॥
Sabko paar lagati ho maan।
sab par daya dikhati ho maan॥
Hemavati Uma Brahmani।
Bhandasur ka hriday vidarini॥
Sarv vipati har,
sarvadhare।
tumne kutil kupanthi taare॥
Chandra-dharani Naimishvasini।
kripa karo Lalite aghnashini॥
Bhakt janon ko daras dikhao।
sanshay bhay sab sheeghra mitao॥
Jo koi padhe Lalita Chalisa।
hove sukh anand adhisa॥
Jis par koi sankat aave।
path kare sankat mit jave॥
Dhyan laga padhe ikkis bara।
purna manorath hove sara॥
Putra-heen santati sukh pave।
nirdhan dhani bane gun gave॥
Is vidhi path kare jo koi।
dukh bandhan chhoote sukh hoi॥
Jitendra Chandra Bharatiya batavein।
padhen Chalisa to sukh paven॥
Sabse laghu upaay yah jaano।
siddh hoy man mein jo thano॥
Lalita kare hriday mein basa।
siddhi det Lalita Chalisa॥
॥ Doha ॥
Lalite maan ab kripa karo,
siddh karo sab kaam।
Sir naay kar karte tumhen pranam॥
The Lalita Chalisa is a devotional hymn dedicated to Maa Lalita Tripurasundari।
presiding deity of the ten Mahavidyas and the embodiment of Shri Vidya. Reciting it on Fridays or during Navratri is considered especially auspicious for removing obstacles and fulfilling wishes॥






