॥ Doha ॥
Bandahun Veenavadini,
dhari Ganpati ko dhyan।
Mahashakti Radha sahit,
Krishna karo kalyan॥
Sumiran kari sab devgan,
guru pitu barambar।
Barno Shri Giriraj yash,
nij mati ke anusar॥
॥ Chaupai ॥
Jai ho jai bandit Giriraja।
Braj mandal ke Shri Maharaja॥
Vishnu roop tum ho avatari।
sundarta pai jag balihari॥
Swarna shikhar ati shobha paamen।
sur muni gan darshan kun aamen॥
Shant kandara swarg samana।
jahan tapasvi dharate dhyana॥
Dronagiri ke tum yuvaraja।
bhaktan ke sadhau ho kaja॥
Muni Pulastya ji ke man bhaye।
jor vinay kar tum kun laaye॥
Munivar sangh jab Braj mein aaye।
lakhi Brajbhoomi yahan thahraaye॥
Vishnu dham Golok suhavan।
Yamuna Govardhan Vrindavan॥
Dekh dev man mein lalchaaye।
baas karan bahu roop banaaye॥
Kou baanar kou mrig ke roopa।
kou vriksh kou lata swaroopa॥
Aanand len Golok dham ke।
param upasak roop naam ke॥
Dwapar ant bhaye avatari।
Krishnachandra anand Murari॥
Mahima tumhi Krishna bakhani।
puja karibe ki man thani॥
Brajvasi sab ke liye bulaai।
Govardhan puja karvaai॥
Pujan kun vyanjan banvaaye।
Brajvasi ghar ghar te laaye॥
Gwal baal mili puja keeni।
sahas bhuja tumne kar leeni॥
Swayam prakat ho Krishna puja mein।
maang maang ke bhojan paamen॥
Lakhi nar naari man harshaamen।
jai jai jai Girivar gun gaamen॥
Devraj man mein risiyaae।
nasht karan Braj megh bulaae॥
Chhaya kar Braj liyau bachaai।
eku boond na neeche aai॥
Saat divas bhai barsa bhari।
thake megh bhari jal dhari॥
Krishnachandra ne nakh pai dhare।
namo namo Braj ke pakhvare॥
Kari abhiman thake sursaai।
kshama maang puni astuti gai॥
Traahi maam main sharan tihari।
kshama karo prabhu chook hamari॥
Baar baar binati ati keeni।
saat kos parikamma deeni॥
Sang Surabhi Airavat laaye।
haath jod kar bhent gahaaye॥
Abhay daan pa Indra sihaaye।
kari pranam nij lok sidhaaye॥
Jo yah katha sunen chit laven।
ant samay surpati pad pavon॥
Govardhan hai naam tiharo।
karate bhaktan kau nistarau॥
Jo nar tumhen darshan paaven।
tinke dukh door have jaaven॥
Kundan mein jo karen aachaman।
dhanya dhanya vah manav jeevan॥
Mansi Ganga mein jo nahaaven।
seedhe swarg lok kun jaaven॥
Doodh chadha jo bhog lagaaven।
aadhi vyaadhi tehi paas na aaven॥
Jal phal tulsi patra padhaaven।
man vanchhit phal nishchay paden॥
Jo nar det doodh ki dhara।
bharau rahe taakau bhandara॥
Karen jagran jo nar koi।
dukh daridra bhay taahi na hoi॥
Shyam shilamay nij jan trata।
bhakti mukti sarbas ke data॥
Putra heen jo tum kun dhyaven।
taakun putra prapti have jaaven॥
Dandauti parikamma karahi।
te sahajahi bhavsagar tarahi॥
Kali mein tum sam dev na dooja।
sur nar muni sab karate puja॥
॥ Doha ॥
Jo yah Chalisa padhe,
sune shuddh chitt lay।
Satya satya yah satya hai,
Girivar karen sahay॥
Kshama karahu apradh mam,
traahi maam Giriraj।
Shyam Bihari sharan mein,
Govardhan Maharaj॥
The Giriraj Chalisa is a devotional hymn dedicated to Govardhan Hill, which Lord Krishna lifted on his finger to humble Indra's pride. Reciting it on Govardhan Puja or Annakut is considered especially auspicious.






