ToranToran

Ganesh Chalisa

Ganesh Chalisa

॥ Doha ॥

Jai Ganpati Sadgun Sadan,
Kavivar Badan Kripal।
Vighna Haran Mangal Karan,
Jai Jai Girijalal॥

॥ Chaupai ॥

Jai jai jai Ganpati Ganraju।
mangal bharan karan shubh kaju॥
Jai gajbadan sadan sukhdata।
vishwavinayak buddhi vidhata॥

Vakra tunda shuchi shunda suhavan।
tilak tripund bhal man bhavan॥
Rajat mani muktan ur mala।
swarna mukut shir nayan vishala॥

Pustak pani kuthar trishulam।
modak bhog sugandhit phoolam॥
Sundar pitambar tan sajit।
charan paduka muni man rajit॥

Dhani Shiv suvan shadanan bhrata।
Gauri lalan vishwa vikhyata॥
Riddhi Siddhi tav chanvar sudhare।
mushak vahan sohat dware॥

Kahaun janma shubh katha tumhari।
ati shuchi pavan mangalkari॥
Ek samay Giriraj Kumari।
putra hetu tap kinho bhari॥

Bhayo yagya jab purna anupa।
tab pahunchyo tum dhari dwij roopa॥
Atithi jani ke Gauri sukhari।
bahu vidhi seva kari tumhari॥

Ati prasann hvai tum var deenha।
matu putra hit jo tap keenha॥
Milahin putra tuhi।
buddhi vishala,
bina garbh dharan yahi kala॥

Gannayak gun gyan nidhana।
pujit pratham roop bhagwana॥
As kahi antardhan roop hai।
palna par balak swaroop hai॥

Bani shishu rudan jabahin tum thana।
lakhi mukh sukh nahi Gauri samana॥
Sakal magan sukh mangal gavahin।
nabh te suran suman varshavahin॥

Shambhu Uma bahu dan lutavahin।
sur munijan sut dekhan avahin॥
Lakhi ati anand mangal saja।
dekhan bhi aae Shani raja॥

Nij avgun gani Shani man mahi।
balak dekhan chahat nahi॥
Girija kachhu man bhed badhayo।
utsav mor na Shani tuhi bhayo॥

Kahan lage Shani man sakuchai।
ka karihaun shishu mohi dikhai॥
Nahi vishwas Uma ur bhayau।
Shani son balak dekhan kahayau॥

Padatahin Shani drigkon prakasha।
balak sir udi gayo akasha॥
Girija giri vikal bhve dharani।
so dukh dasha gayo nahi varani॥

Hahakar machyo Kailasha।
Shani keenho lakhi sut ka nasha॥
Turat Garud chadhi Vishnu sidhaye।
kati chakra so gajshir laye॥

Balak ke dhad upar dharayo।
pran mantra padhi Shankar darayo॥
Naam "Ganesh" Shambhu tab keenhen।
pratham pujya buddhi nidhi var deenhen॥

Buddhi pariksha jab Shiv keenha।
prithvi kar pradakshina leenha॥
Chale shadanan।
bharami bhulai,
rache baithi tum buddhi upai॥

Charan matu pitu ke dhar leenhen।
tinke saat pradakshin keenhen॥
Dhani Ganesh kahi Shiv hiya harshyo।
nabh te suran suman bahu varshyo॥

Tumhari mahima buddhi badai।
shesh sahas mukh sake na gai॥
Main mati heen malin dukhari।
karahun kaun vidhi vinay tumhari॥

Bhajat "Ram Sundar" prabhudasa।
jag Prayag kakra Durvasa॥
Ab prabhu daya deen par kije।
apni bhakti shakti kuchh dije॥

॥ Doha ॥

Shri Ganesh yah Chalisa,
path kare dhar dhyan।
Nit nav mangal grih base,
lahe jagat sanman॥

Samvat apna sahasra das,
rishi panchami dinesh।
Puran Chalisa bhayo,
mangal murati Ganesh॥

 

The Ganesh Chalisa is a devotional hymn dedicated to Lord Ganesha, the remover of obstacles and the first deity worshipped before any auspicious undertaking. Reciting it, especially on Wednesdays or before starting new ventures, is believed to bring wisdom, success, and freedom from obstacles.

Frequently Asked Questions

When is the best time to recite the Ganesh Chalisa?

What are the benefits of reciting the Ganesh Chalisa?

What story does the Ganesh Chalisa narrate?

How many verses does the Ganesh Chalisa have?