॥ Chaupai ॥
Namo namo Durge sukh karani।
namo namo Ambe dukh harani॥
Nirankar hai jyoti tumhari।
tihun lok faili ujiyari॥
Shashi lalat mukh maha vishala।
netra lal bhrikuti vikrala॥
Roop matu ko adhik suhave।
darash karat jan ati sukh pave॥
Tum sansar shakti lay keena।
palan hetu ann dhan deena॥
Annapurna hui jag pala।
tum hi aadi sundari bala॥
Pralaykal sab nashan hari।
tum Gauri Shiv Shankar pyari॥
Shiv yogi tumhen gun gaven।
Brahma Vishnu tumhen nit dhyaven॥
Roop Saraswati ko tum dhara।
de subuddhi rishi munin ubara॥
Dhara roop Narsinh ko amba।
pargat bhai faad kar khamba॥
Raksha kari Prahlad bachayo।
Hiranyakashyap ko swarg pathayo॥
Lakshmi roop dharo jag mahi।
Shri Narayan ang samahi॥
Ksheersindhu mein karat vilasa।
daya sindhu dije man aasa॥
Hinglaj mein tumhi Bhavani।
mahima amit na jaat bakhani॥
Matangi Dhumavati mata।
Bhuvaneshwar Bagla sukh data॥
Shri Bhairav Tara jag tarini।
chhinn bhaal bhav dukh nivarini॥
Kehari vahan soh Bhavani।
langur veer chalat agvani॥
Kar mein khappar khadag viraje।
jako dekh kaal dar bhaje॥
Sohe astra aur trishoola।
jaate uthat shatru hiy shoola॥
Naag koti mein tumhi virajat।
tihun lok mein danka bajat॥
Shumbh Nishumbh danav tum mare।
Raktabeej shankhan sanhare॥
Mahishasur nrip ati abhimani।
jehi agh bhaar mahi akulani॥
Roop karaal Kali ko dhara।
sen sahit tum tehi sanhara॥
Pari gaadh santan par jab jab।
bhai sahaay matu tum tab-tab॥
Amar puri auron sab loka।
tab mahima sab rahe ashoka॥
Taahi mein hai jyoti tumhari।
tumhen sada pujen nar naari॥
Prem bhakti se jo jas gave।
dukh daridra nikat nahi aave॥
Dhyave tumhen jo nar man lai।
janam maran tako chhuti jai॥
Jogi sur muni kahat pukari।
yog na ho bin shakti tumhari॥
Shankar aacharaj tap keeno।
kaam aru krodh jeeti sab leeno॥
Nishi din dhyan dharo Shankar ko।
kahu kaal nahi sumiro tumko॥
Shakti roop ko maram na payo।
shakti gai tab man pachhitayo॥
Sharanagat hui kirti bakhani।
jai jai jai Jagdamb Bhavani॥
Bhai prasann aadi Jagdamba।
dai shakti nahi keen vilamba॥
Moko matu kasht ati ghero।
tum bin kaun hare dukh mero॥
Aasha trishna niput satave।
ripu murakh mohi ati darpave॥
Shatru naash kije Maharani।
sumiron ik chit tumhen Bhavani॥
Karo kripa he matu dayala।
riddhi siddhi de karahu nihala॥
Jab lagi jiyaun daya phal paraun।
tumharo jas main sada sunaun॥
Durga Chalisa jo gaven।
sab sukh bhog param pad paven॥
Devidas sharan nij jani।
karahu kripa Jagdamb Bhavani॥
॥ Doha ॥
Sharanagat raksha kare,
bhakt rahe nihshank।
Main aaya teri sharan mein,
matu lijiye ank॥
The Durga Chalisa is an extremely popular devotional hymn dedicated to Maa Durga, glorifying her form as Mahishasura Mardini and the slaying of Shumbha-Nishumbha. Reciting it during Navratri or on Tuesdays and Fridays is considered especially auspicious.






