ToranToran

Brahma Chalisa

Brahma Chalisa

॥ Doha ॥

Jai Brahma jai Swayambhu,
chaturanan sukhmool।
Karahu kripa nij das pai,
rahahu sada anukool॥

Tum srijak brahmand ke,
aj vidhi ghata naam।
Vishwavidhata kijiye,
jan pe kripa lalam॥

॥ Chaupai ॥

Jai jai Kamlasan jagmoola।
rahahu sada janpai anukoola॥
Roop chaturbhuj param suhavan।
tumhen ahain chaturdik aanan॥

Raktvarn tav subhag sharira।
mastak jatajoot gambhira॥
Take upar mukut biraje।
daadhi shwet mahachhavi chhaje॥

Shwetvastra dhare tum sundar।
hai gyanopavit ati manhar॥
Kanan kundal subhag birajahin।
gal motin ki mala rajahin॥

Charihu Ved tumhi pragtaye।
divya gyan tribhuvanahin sikhaye॥
Brahmalok shubh dham tumhara।
akhil bhuvan mahan yash bistara॥

Ardhangani tav hai Savitri।
apar naam hiye Gayatri॥
Saraswati tab suta manohar।
veena vadini sab vidhi sundar॥

Kamlasan par rahe biraje।
tum haribhakti saaj sab saje॥
Ksheer sindhu sovat surbhoopa।
nabhi kamal bho pragat anoopa॥

Tehi par tum aasin kripala।
sada karahu santan pratipala॥
Ek baar ki katha pracharee।
tum kahan moh bhayeu man bhari॥

Kamlasan lakhi keenh bichara।
aur na kou ahai sansara॥
Tab tum kamalnal gahi leenha।
ant bilokan kar pran keenha॥

Kotik varsh gaye yahi bhanti।
bhramat bhramat beete din raati॥
Pai tum takar ant na paye।
bhe nirash atishay dukhiyaye॥

Puni bichar man mahan yah keenha।
mahapadya yah ati prachina॥
Yako janm bhayo ko karan।
tabahin mohi karayo yah dharan॥

Akhil bhuvan mahan kahan koi nahi।
sab kachhu ahai nihit mo mahi॥
Yah nishchay kari garab badhayo।
nij kahan Brahm mani sukhpaye॥

Gagan gira tab bhai gambhira।
Brahma vachan sunahu dhari dheera॥
Sakal srishti kar swami joi।
Brahm anadi alakh hai soi॥

Nij ichchha un sab niramaye।
Brahm Vishnu Mahesh banaye॥
Srishti laagi pragate trayadeva।
sab jag inki karihen seva॥

Mahapadya jo tumho aasan।
ta pai ahai Vishnu ko shasan॥
Vishnu naabhiten pragatyo aai।
tum kahan satya deenh samujhai॥

Bhetahu jai Vishnu hitmani।
yah kahi band bhai nabhavani॥
Taahi shravan kahi acharaj mana।
puni chaturanan keenh payana॥

Kamal naal dhari neeche aava।
tahan Vishnu ke darshan pava॥
Shayan karat dekhe surbhoopa।
shyamvarn tanu param anoopa॥

Sohat chaturbhuj atisundar।
kritmukut rajat mastak par॥
Gal baijanti maal biraje।
koti surya ki shobha laje॥

Shankh chakra aru gada manohar।
padya sahit aayudh sab sundar॥
Paary palotati Rama nirantar।
Shesh naag shayya ati manhar॥

Divyaroop lakhi keenh pranamu।
harshit bhe Shripati sukh dhamu॥
Bahu vidhi vinay keenh chaturanan।
tab Lakshmi pati kaheu mudit man॥

Brahma doori karahu abhimana।
brahmaran ham dou samana॥
Teeje Shri Shivshankar aahi।
brahmaroop sab tribhuvan mahi॥

Tum son hoi srishti vistara।
ham palan kari hain sansara॥
Shiv sanhar karahin sab kera।
ham teenahun kahan kaaj dhanera॥

Agunroop Shri Brahm bakhanahu।
nirakar tinkahan tum jaanahu॥
Ham sakar roop trayadeva।
karihain sada Brahm ki seva॥

Yah suni Brahm param sihaye।
parbrahm ke yash ati gaye॥
So sab vidit Ved ke nama।
mukti roop so param lalama॥

Yahi vidhi prabhu bho janam tumhara।
puni tum pragat keenh sansara॥
Naam pitamah sundar payeu।
jad chetan sab kahan niramayeu॥

Leenh anek baar avatara।
sundar suyash jagat vistara॥
Devdanuj sab tum kahan dhyavahin।
manvanchhit tum san sab pavahin॥

Jo kou dhyan dharai nar nari।
taaki aas pujavahu sari॥
Pushkar tirath param sukhdai।
tahan tum basahu sada surrai॥

Kund nahai karahi jo pujan।
ta kar door hoi sab dooshan॥

 

The Brahma Chalisa is a devotional hymn dedicated to Lord Brahma, the creator of the universe, glorifying his four-faced form and the origin of creation. Reciting it at Pushkar or on Kartik Purnima is considered especially auspicious.

Frequently Asked Questions

When is the best time to recite the Brahma Chalisa?

Why is Lord Brahma worshipped less commonly?

What story does the Brahma Chalisa narrate?

How many verses does the Brahma Chalisa have?