॥ Doha ॥
Shri Bherav sankat haran,
mangal karan kripalu।
Karahu daya nij das pe,
nishidin deendayalu॥
॥ Chaupai ॥
Jai damrudhar nayan vishala।
shyam varn vapu maha karala॥
Jai trishuldhar jai damrudhar।
Kashi kotwal sankathar॥
Jai Girijasut param kripala।
sankatharan harahu bhramjala॥
Jayati Batuk Bhairav bhayahari।
jayati Kaal Bhairav baldhari॥
Ashtaroop tumhe sab gaven।
saphal ek te ek sivaye॥
Shivswaroop Shiv ke anugami।
ganadhish tum sabke swami॥
Jatajoot par mukut suhavai।
bhalchandra ati shobha pavai॥
Kati kardhani ghungharu bajain।
darshan karat sakal bhay bhajain॥
Kar trishul damru ati sundar।
morpankh ko chanwar manohar॥
Khappar khadag liye balvana।
roop chaturbhuj nath bakhana॥
Vahan shwan sada sukhrasi।
tum anant prabhu tum avinasi॥
Jai jai jai Bhairav bhay bhanjan।
jai kripalu bhaktan manranjan॥
Nayan vishal lal ati bhari।
raktvarn tum ahahu Purari॥
Bam bam bam bolat dinraati।
Shiv kahan bhajahu asur aarati॥
Ekroop tum Shambhu kahaye।
dooje Bhairav roop banaye॥
Sevak tumahin tumahin prabhu swami।
sab jag ke tum anantaryami॥
Raktvarn bapu ahahi tumhara।
shyamvarn kahan hoi prachara॥
Shwetvarn puni kaha bakhani।
teeni varn tumhen gunkhani॥
Teeni nayan prabhu param suhavahin।
surnar muni sab dhyan lagavahin॥
Vyapt charmdhar tum jag swami।
pretnath tum purna akami॥
Chakranath Nakulesh prachanda।
nimish digambar kirati chanda॥
Krodhvats Bhootesh kaaldhar।
chakratund dashbahu vyaladhar॥
Ahahin koti prabhu naam tumhare।
japat sada metat dukh bhare॥
Chaunsath yogini nachahin sanga।
krodhvan tum ati ranranga॥
Tum param punita।
tum bhavishya tum ahahu ateeta॥
Vartaman tumho shuchi roopa।
kaalmayi tum param anoopa॥
Ailadi ko sankat taaryo।
bhakt ko karaj saaryo॥
Kalputra kahavahu natha।
tab charanan navahun nit matha॥
Shrikrodhesh kripa vistarahu।
deen jani mohi paar utarahu॥
Bhavsagar boodhat dinraati।
hohu kripalu dusht aarati॥
Sevak jani kripa prabhu kije।
mohin bhagati apni ab dije॥
Karahun sada Bhairav ki seva।
tum saman doojo ko deva॥
Ashvanath tum param manohar।
dushtan kahan prabhu ati bhayankar॥
Tumho das jahan jo hoi।
taakahan sankat pare na koi॥
Harahu nath tum jan ki peera।
tum saman prabhu ko balveera॥
Sab apradh kshama kari dije।
deen jani aapun mohin kije॥
Jo yah path kare Chalisa।
taapai kripa karahu Jagdisha॥
॥ Doha ॥
Jai Bhairav jai Bhootpati jai jai jai sukhkand।
Karahu kripa nit das pe,
dehu sada anand॥
The Bhairav Chalisa is a devotional hymn dedicated to Kaal Bhairav, the fierce form of Lord Shiva and guardian deity of Kashi. Reciting it on Sundays or Bhairav Ashtami is considered especially auspicious for protection from fear and evil.






