ToranToran

Batuk Bhairav Chalisa

Batuk Bhairav Chalisa

॥ Doha ॥

Vishwanath ko sumir man,
dhar Ganesh ka dhyan।
Bherav Chalisa rachun,
kripa karahu Bhagwan॥

Batuknath Bherav bhajun,
Shri Kali ke lal।
Chhitarmal par kar kripa,
Kashi ke Kutwal॥

॥ Chaupai ॥

Jai jai Shrikali ke lala।
raho das par sada dayala॥
Bherav bheeshan bheem kapali।
krodhvant lochan mein lali॥

Kar trishul hai kathin karala।
gal mein prabhu mundan ki mala॥
Krishna roop tan varn vishala।
peekar mad rahata matvala॥

Rudra Batuk bhaktan ke sangi।
pret nath bhootesh bhujangi॥
Bailkatesh hai naam tumhara।
chakra tund Amaresh piyara॥

Shekharchandra kapaal biraje।
swan savari pai prabhu gaje॥
Shiv Nakulesh Chand ho swami।
Baijnath prabhu namo namami॥

Ashvanath Krodhesh bakhane।
Bheron kaal jagat ne jane॥
Gayatri kahen nimish Digambar।
Jagannath unnat aadambar॥

Kshetrapal Dasapan kahaye।
manjul Umanand kahlaye॥
Chakranath bhaktan hitkari।
kahain Trinambak sab nar naari॥

Sanharak Sunand tav nama।
karahu bhakt ke puran kama॥
Nath pishachan ke ho pyare।
sankat metahu sakal hamare॥

Krityayu sundar ananda।
bhakt janan ke katahu fanda॥
Karan lamb aap bhay bhanjan।
namonath jai janman ranjan॥

Ho tum dev trilochan natha।
bhakt charan mein navat matha॥
Tvam ashtang Rudra ke lala।
Mahakal kalon ke kala॥

Taap vimochan ari dal nasa।
bhal chandrama karahi prakasha॥
Shwet kaal aru laal sharira।
mastak mukut sheesh par cheera॥

Kali ke lala baldhari।
kahan tak shobha kahan tumhari॥
Shankar ke avtaar kripala।
raho chakachak pi mad pyala॥

Kashi ke Kutwal kahao।
Batuk nath chetak dikhlao॥
Ravi ke din jan bhog lagaven।
dhoop deep naivedya chadhaven॥

Darashan karke bhakt sihaven।
daruda ki dhaar pilaven॥
Math mein sundar latkat jhava।
siddh kaarya kar Bheron baba॥

Nath aapka yash nahi thoda।
karmein subhag sushobhit koda॥
Kati ghunghar sureele bajat।
kanchanmay sinhasan rajat॥

Nar naari sab tumko dhyavahin।
manvanchhit ichchhaphal pavahin॥
Bhopa hain aapke pujari।
karen aarti seva bhari॥

Bherav bhaat aapka gaun।
baar baar pad sheesh navaun॥
Aapahi vare chheejan dhaye।
Ailadi ne rudan machaye॥

Bahan tyagi bhai kahan jave।
to bin ko mohi bhaat pinhave॥
Roye Batuk nath karuna kar।
gaye hivare main tum jakar॥

Dukhit bhai Ailadi bala।
tab Har ka sinhasan hala॥
Samay byah ka jis din aaya।
prabhu ne tumko turat pathaya॥

Tab kahi mat vilamb lagao।
teen divas ko Bherav jao॥
Dal pathaan sang lekar dhaya।
Ailadi ko bhaat pinhaya॥

Puran aas bahan ki keeni।
surkh chundi sir dhar deeni॥
Bhaat bhara laute gun grami।
namo namami antaryami॥

॥ Doha ॥

Jai jai jai Bherav Batuk,
swami sankat taar।
Kripa das par kijiye,
Shankar ke avtaar॥

Jo yah Chalisa padhe,
prem sahit sat baar।
Us ghar swanand hon,
vaibhav badhen apaar॥

 

The Batuk Bhairav Chalisa is a devotional hymn dedicated to Batuk Bhairav, the youthful form of Bhairav, son of Kali and guardian of Kashi. Reciting it on Sundays is considered especially auspicious for quick protection.

Frequently Asked Questions

When is the best time to recite the Batuk Bhairav Chalisa?

Who is Batuk Bhairav?

What are the benefits of reciting the Batuk Bhairav Chalisa?

How many verses does the Batuk Bhairav Chalisa have?