॥ Doha ॥
Shri Guru charan chitlay ke,
dharen dhyan Hanuman।
Balaji Chalisa likhe das snehi Kalyan॥
Vishwa vidit var daani sankat haran Hanuman।
Mehandipur mein pragat bhaye Balaji Bhagwan॥
॥ Chaupai ॥
Jai Hanuman Balaji deva।
pragat bhaye yahan teenon deva॥
Pretraj Bhairav balvana।
Kotwal Kaptani Hanumana॥
Mehandipur avtaar liya hai।
bhakton ka uddhar kiya hai॥
Balroop pragate hain yahan par।
sankat waale aate jahan par॥
Daakani shaakani aru jindani।
mashan chudail bhoot bhootani॥
Jake bhay te sab bhag jaate।
sthaane bhope yahan ghabraate॥
Chowki bandhan sab kat jaate।
doot mile anand manaate॥
Sachcha hai darbar tihara।
sharan pade sukh pave bhara॥
Roop tej bal atulit dhama।
sanmukh jinke Siya Rama॥
Kanak mukut mani tej prakasha।
sabki hovat purna aasha॥
Mahant Ganeshpuri gunile।
bhaye susevak Ram rangile॥
Adbhut kala dikhai kaisi।
kalyug jyoti jalai jaisi॥
Ounchi dhwaja pataka nabh mein।
swarna kalash hain unnat jag mein॥
Dharma satya ka danka baje।
Siyaram jai Shankar raje॥
Aan phiraya mugdar ghota।
bhoot jind par padte sota॥
Ram Lakshman Siya hriday kalyana।
bal roop pragate Hanumana॥
Jai Hanumant hathile deva।
puri parivar karat hain seva॥
Laddu churma mishri meva।
arji darkhast lagau deva॥
Daya kare sab vidhi Balaji।
sankat haran pragate Balaji॥
Jai baba ki jan jan uchare।
kotik jan tere aaye dware॥
Baal samay Ravi bhakshahi leenha।
timirmay jag keenho teenha॥
Devan vinati ki ati bhari।
chhaand diyo Ravi kasht nihari॥
Langhi udadhi Siya sudhi laye।
Lakshman hit Sanjivan laye॥
Ramanuj pran Divakar।
Shankar suban maan Anjani chakar॥
Keshari nandan dukh bhav bhanjan।
Ramanand sada sukh sandan॥
Siya Ram ke pran piyare।
jab baba ki bhakt uchare॥
Sankat dukh bhanjan Bhagwana।
daya karahu he kripa nidhana॥
Sumar bal roop kalyana।
kare manorath purna kama॥
Ashta siddhi nav nidhi dataari।
bhakt jan aave bahu bhari॥
Meva aru mishthan pravina।
bhent chadhaven dhani aru deena॥
Nritya kare nit nyare nyare।
riddhi siddhiyan jake dware॥
Arji ka aadesh milte hi।
Bhairav bhoot pakadte tabahi॥
Kotwal kaptaan kripani।
Pretraj sankat kalyani॥
Chowki bandhan katte bhai।
jo jan karte hain sevakai॥
Ramdas bal Bhagwanta।
Mehandipur pragate Hanumanta॥
Jo jan Balaji mein aate।
janam janam ke paap nashate॥
Jal pavan lekar ghar jaate।
nirmal ho anand manaate॥
Kroor kathin sankat bhag jave।
satya dharma path raah dikhave॥
Jo sat path karen Chalisa।
taapar prasann hoy Bagisha॥
Kalyan snehi,
sneh se gave।
sukh samriddhi riddhi siddhi pave॥
॥ Doha ॥
Mand buddhi mam janke,
kshama karo gunkhan।
Sankat Mochan kshamahu mam,
das snehi Kalyan॥
The Balaji Chalisa is a devotional hymn dedicated to Balaji, the child form of Hanuman worshipped at Mehandipur alongside Pretraj and Bhairav. Reciting it on Tuesdays or Saturdays is considered especially auspicious for relief from serious troubles.






